Fanaa Dialogues
Fanaa is a complete romantic drama movie with lots of suspense and thrills, but what made this movie a most memorable was the dialogues and poetry of the movie.
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaaye
Ankhen to pyar me dil ki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
Pyar mai dard bhi mile to kya ghabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai….
Humse door Jaoge kaise
Dil se hame bhulaoge kaise
Hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hain
khud ki saason ko rok paoge kaise
Tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye,
Tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye,
Adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham,
Magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham.
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahin karte
Jaam doosron se cheenkar hum piya nahin karte
Unko mohabbat hai toh aakar izhaar karen
Peecha hum bhi kisika kiya nahin karte
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla
Socha shikayat karoon teri khuda se, par khuda bhi tera aashiq nikla
Aag suraj mein hoti hai
Jalna zameen ko padta hai
Mohabbat nigahein karti hai
Tadapna dil ko parta hai
Rone de tu aaj humko, tu aankhen sujane de
Baahon me lele aur khud ko bheeg jaane de
Hai jo seene me quaid dariya wo chuut jaayega
Hai itna dard ke tera daaman bhi bheeg jayega
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte
Bhool karke agar humse koi bhool hui ho
To bhool samajkar bhula dena
Lekin bhulna sirf bhool ko
Galati se bhi hame na bhula dena
Kehte hain pyar mein neend ud jati hai
Koi humse bhi mohabbat kare
kambhakt neend bahut aati hai
Insaan ki khwaish ki koi inteha nahin
Do gaz zameen chahiye do gaz kafan ke baad
Phool hun Gulaab ka
Chameli ka mat samjhna
Aashiq hun aapka
Apni Saheli ka mat samjhna
Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath
Liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath
Agar andha hota, toh duniya ki sabse haseen cheez dekh nahin pata
…..aap
Dard se aankhen chaar kar lenge
Hum bhi imtihaan de denge
Teri dosti ke khatir ay dost
Hum dushmanon se bhi pyar kar lenge
Behti hain hoton ko seeker
Pachtayengi aap
Ishq jaag uthta hai aksar
Aisi khamoshi ke baad
Also Check : Romantic Dialogues of Shahrukh Khan