Naseeruddin Shah is a versatile Indian actor famous for great dialogue delivery and acting. He is equally successful in art and commercial cinema, known for his negative roles and few comic roles in Bollywood Films. We are sharing some great Dialogues of Naseeruddin Shah used in Bollywood Films.

Just Imagine all these dialogues in the powerful voice of Nasiruddin Shah.

Dialogues of Naseeruddin Shah

Tridev

Joh insaan jurm ke khilaf awaz uthata hai usko duniya baghi hi kehti hai….
Paap se dharti phati, adharm se aasmaan, atyachar se kanpi insaniyat, raj
kar rahe haivaan jinki hogi taqat apoorv, jinka hoga nishana abhed, joh
karenge inka sarvanaash … woh kehlayenge Tridev!

The Dirty Picture

Jab sharafat ke kapde utarte hai tab sabse zyada mazaa sharifon ko hi aata hai…..

Public samaan dekhti hai, dukaan nahin…

Heroine ki zindagi is like an elected government paanch saal tak party, uske baad support…..

Dialogues of Naseeruddin Shah Movies

A Wednesday

I’m just a stupid common man….

Aapke ghar mein cockroach aata hai toh aap kya karte hai Rathore Sahab? aap usko paalte nahi maarte hai, Ye chaar cockroach mera ghar ganda kar rahe the aur aaj main apna ghar saaf karna chahta hoon..

Koi Madarc***d button dabakar mere liye yeh faisla nahin karega ki mujhe kab marna hai….

They asked us this question on a Friday, repeated it on Tuesday I’m just replying on Wednesday….

Aam aadmi ki tarah jiyo, aam aadmi ki tarah bardaash karo aur aam aadmi ki tarah marro…

Dedh Ishqiya

Sanwaar nok palak aabruon mein kham karde … gire pade huye lafzon ko mohtaram
karde

Tere vaade pe jeeye hum toh yeh jaan choot jaana ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hota….

Is baar ishq sacha hai….

Saat mukaam hote hai ishq mein dilkashi, unss, mohabbat, aqeedat, ibaadat, junoon aur maut…

Also Read : Dialogues of Amrish Puri

Ishqiya

Duniya mein sabsi gehri dushmani miya biwi ki hoti hai

Peepal talle padenge aur nadi kinare hugne jayenge kya thundi thundi hawa lagegi pichwaade me…..

China Gate

Haath mein bandook lekar apne aap ko bahadur samajhna utna hi aasaan hai jitna kisi nihatte ko buzdil samajhna….

Cancer se zyada khaufnak bimari toh aapki ragon mein daud rahi hai nafrat ki bimari, shaq ki bimari…

Iqbal

Yeh dimaag ka khel hai joh dil se khela jaata hai

Dimaag aur dil jab ek saath kaam karte hai na toh farak nahi padta hai ki dimaag kaunsa hai aur dil kaunsa hai….

Kabhi Haan Kabhi Naa

Humko maloom hai heaven bahut beautiful jagah hai par wahan jaane ka humko itna jaldi nahi hai…

Idhar ja rahe ho yah udhar ja rahe ho kidhar bhi ja rahe ho sab raasta God ke paas jata hai…

Sarfarosh

Hamare ghav bahut gehre hai
woh itni aasani se nahin bharne waale……

Aapke mehmaan hai toh hum inke kadardaan hai…

Kuch hosh nahi rehta, kuch dhayan nahi rehta
insaan mohabbat mein insaan nahi rehta…..

Arre janaab, aaj kal toh music companyon ko ghazal ki dhun bhi disco jaisi chahiye….

Mohra

Is desh ke shehar shehar, gaon gaon mein, yahan tak ki ghar ghar ke andar nashe
ko pohchane ki lagan honi chahiye hum me…..

Insaan ki sabse badi guarantee uska apna zameer hota hai…

Mard ko abaad bhi aurat karti hai aur barbaad bhi aurat karti hai…

Mujhe duniya ka sabse daulatmand aur sabse shaktishali insaan banna hai…

Hamari tarakki ke raaste mein joh bhi aayega uski zubaan band karni
hogi Rupyon se nahi to goli se…

Vishwatma

Tumhare aur maut ke beech
meri pistol se nikli sirf ek goli ka faasla rehgaya hai….

Umrao Jaan

Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye bus ek baar mera kaha maan lijiye is anjuman mein aapko aana hai baar baar deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye…..

Aaine ke paas toh kuch bhi nahi meri aankhon mein teri tasveer hai….

7 Khoon Maaf

Jisne kam mein jeena seekh liya usse kabhi kami nahi hoti….

Lahoo ke Do Rang

Dosti ya dushmani, jab tak jam ke na ho, mazaa nahi aata…

Kabhi kabhi aankhon dekhi aur kaano suni baat bhi jhoot ho sakti hai…

Purane chawal ko yun kachcha chaba jaana meri style hai…

Main Meri Patni aur Woh

Ek pal mein poori zindagi badalne ki taqat hoti hai…

Khuda Kay Liye (Pakistani Film)

Ishq jab Intehaan ko chootaa hai, toh aashiq ka jee chahta hai ke who bhi dikhne mein apne mehboob jaisa ban jaaye. Kahin hum galati toh nahi kar rahe hai, ke aashiq ka pehla kadam ishq ki aakhri seedi pe rakhwa rahe hai!

Your Turn !

These are the most famous Naseeruddin Shah’s Dialogues, you can add more in the list by adding more Naseer’s Dialogues in the comment section.