Kota Factory season 2 on Netflix has been released and people are loving the characters and their development in the series, season 2 of Kota Factory is grander and you can clearly feel Netflix’s involvement in the making of the series.

We are sharing some of the Best Dialogues of Kota Factory 2, these dialogues are from Jitu Bhaiya, Uday, Maheshwari etc.

Dialogues of Kota Factory season 2

Himmat De usse, tujhe bhi to logo ne samjhaya tha
tujhe competition nahi apna samjha tha…

Engineers desh ki neev hoti hai, neev kachhi ho ya pakki ho ye aap logo pe nirbhar karta hai…

jitu bhaiya dialogues in kota factory 2 netflix series
Netflix’s Kota Factory Season 2 Screen

Ek Iitian pen solve karne ke liye nahi uthata, solution likhne ke liye uthata hai..

Publicity hum nahi Result karega..

Ab Sapne dekhoge to toot hi jayenge, infact IIT tum me se kisi ka sapna hona bhi nahi chahiye.. Aim Bolna shuru karo, Sapne dekhe jaate hain, AIM achieve kiye jate hain..

IIT isliye karo kyuki tuff hai, aur tuff battle ladne me confidence aata hai life mein…

Mere liye asaan hai bol dena be yourself, par satya yeh hai ki you should always try to better yourself..

Yahan hum 32 me gearup kar rahe hain aap 17 me slowdown ho rahe hain…

kota factory season 2 netflix dialogues
Netflix’s Kota Factory Season 2 Screen

Sab bata rahe the, feel nahi kara rahe the…

Aapne ye bolke reject kiya tha ki cope up nahi kar paunga 4 mahine me A3 me hoon…

Institute khulta josh se hai par chalta discipline se hai..

Gyan to kisi cheez ka 100% hone se raha…

Institute chalana asaan nahi hoga, tumhari taseer teacher ki hai manager ki nahi…

Sir ye apna institute kholne ka naya swine flu fail raha hai…

Aaj ke time me jis teacher ki Izzat bachhe kare, aise teacher kam dikhte hain…

Coaching ke bahar temporary flex nahi lagwaya hai, insignia jadwaya hai, yeh nahi ayega…

jitu bhaiya dialogues kota factory season 2
Netflix’s Kota Factory Season 2 Screen

Yeh sab piliya, typhoid, swine flu ye sab mammiyon ke bina nahi jaate hain….

Brahmastra chalane ko bola tha khane ko nahi…

Jab un chairs pe top 10 baith te honge, tab bhi ek hi khush hota hoga…

Aaj samajh gaya main, ke jo log reject ho jate hain, bhaiya un logo ke liye party kyu rakhte hain, asli jarurat to unhe hi hai na….

Sir celebrate kijiye, ki aapka bachha udaas hai, udass hai kyuki serious tha,Serious tha kyuki zimmedar tha, ab 18 ki umar me bachha zimmedar hai bada goal set karke lad raha hai, yeh to apki parenting safal hui..

Agar apko sach me lagta hai koi tragedy nahi hui hai to kam se kam aap to normal dikhiye, agar apke hath kanpna band ho jayenge to wo bhi normal ho jayega…

Your Turn!

Now, you can share more dialogues from Netflix’s Kota factory season 2 in the comment section.