Sholay is the most loved film in Indian cinema with the most iconic characters, all the dialogues of Sholay were superhit and even today, people use them in real life.
Sholay was written by Salim-Javed and everything in that film was epic. You can check some great dialogues of Sholay on Filmy Keeday.
All Famous and Hit Dialogues of Sholay
Dharmendra
Hum kaam sirf paison ke liye karte hain
Basanti in kutto ke samne mat nachna
Tum agar ek maaroge to hum chaar maarengee
Amitabh Bachchan
Tumhara naam kya hai Basanti?
Mujhe toh sab police waalon ki suratein ek jaisi lagti hain
Also Check : Evergreen Dialogues of Amitabh bachchan
Amjad Khan
Soowar ke bachchon
Yeh Ramgarh waale apni betiyon ko kaun chakki ka pisa aata khilate hain re
Iski saza milegi … barabar milegi!
Holi kab hai … kab hai Holi, kab?
Tera kya hoga Kaalia?
Ab goli kha
Bahut yaraana lagta hai
Joh dar gaya … samjho mar gaya
Arrey oh Sambha … kitna inaam rakhe hain sarkar ham par?
Gabbar ke taap se tumhe ek hi aadmi bacha sakta hai, ek hi aadmi … khud Gabbar
Arey o Sambha Utha Bandook aur Laga Nisana Kutte Par
Jab tak tere pair chalenge uski saans chalegi
Yeh haath humko de de Thakur
Kitney aadmi they?
Hema malini
Dekho, mujhe befuzool baat karne ki aadat to hai nahin
Yunki, yeh kaun bola?
Chal Dhanno … aaj teri Basanti ki ijjat ka sawaal hai
Sanjeev Kumar
Thakur na jhuk sakta hai na toot sakta hai … Thakur sirf marr sakta
Ramgarh waalon ne paagal kutton ke saamne roti daalna bandh kar diya hai
Yeh haath nahin … phansi ka phanda hai
Keemat joh tum chaho … kaam joh main chahoon
Loha garam hai … maar do hathauda
Asrani
Hum angrez ke zamaane ke jailor hain Haha
Adhe idhar jayo … adhe idhar jayo … aur baaki hamare saath aao
AK hangal
Itna sanata kyun hai bhai?
Viju Khote
Sardar, maine aapka namak khaya hai Sardar
Mac Mohan
Pure Pachas Hajar…
Famous Conversations
Jai and Mausi Dialogues
Mausi : Arre beta, bas itna samaz lo ke ghar me jawan beti sinay par pathhar ke sil ki tarah hoti hai. Basanti ka byaah ho jaaye to chain ki saans lu…..
Jai : ha sach kaha mausi apne. bada bojh hai ap par…..
Mausi : Lekin beta, is bojh ko koi kunwe me to fek nahi deta. Bura nahi manana, itna to puchna hi padta hai ki ladke ka khandan kya hai uske lachhan kaise hai, kamata kitna hai?
Jai : Kamane ka to ye hai mausi, ke ek baar biwi bachho ki jimmedari sar pe aa gyi to, kamane bhi lagega…..
Mausi : To kya abhi kuch bhi nahi kamata?
Jai : Nahi nahi ye maine kab kaha mausi, kamata hai lekin, ab roj roj to admi jeet nahi sakata na. kabhi haar bhi jata hai bechara?
Mausi : haar jata hai?
Jai : haan mausi ab ye kambakht juwa cheej hi aisi hai ab mai kyaa kahu ?
Mausi : heyn. to kya juwari hai?
Jai : chhi chhi chhi chhi mausi, woh aur juwari na na. woh to bahot hi achcha aur nek ladka hai. Lekin mausi, ek baar sharab pi li na phir, achche bure ka kaha hosh rahata hai. Hath pakad ke bitha liyaa kisi ne juwa khelane. ab isme bechare Veeru ka kya dosh?
Mausi: Thik kehte ho beta. juwari woh sharabi woh lekin, uska koi dosh nahi……
Jai : Mausi aap to mere dost ko galat samajh rahi ho, wo itna seedha, sadha aur bhola hai, are basanti se uski shadi karke to dekhiye, ye jue aur sharab ki adat to do din me chhot jayegi……
Mausi : arey beta, mujh budhiya ko samjha rahe ho,ye sharab juen ki aadat kisi ki chhoti hai aaj tak?
Jai : Mausi aap Viru ko nahi janati , vishwas kijiye wo is tarah ka insaan nahi hai, ek baar shadi ho gayi to wo us gaane wali ke ghar jana band kr dega bas sharab apne aap chhot jayegi……
Mausi: Hi hi, bas yehi ek kami raha gayi thi. to kya kisi gane-waali ke ghar bhi ana jana hai?
Jai : To isme kaunse buri baat hai mausi, arey, gana sunnane to raja maharaja unche khandan ke log jaate hain…….
Mausi : Achcha ! to beta ye bhi batate jao ki tumhare yeh gunwan dost kis khandan ke hai?
Jai : Bas mausi, khandan ka pata chalate hi ham ap ko khabar de denge….
Mausi : Ek baat ki dad dungi beta, bhale sau buraiyan hai tumhare dost me, phir b tumhare muh se uske liye tarife hi nikalti hai…..
Jai : ab Kya karu mausi, mera to dil hi kuch aisa hai, to main ye rishta pakka samjhun?
Mausi : Pakka? . bhale saari jindagi ladki kunwari baithi rahe, lekin main aise aadmi se basanti ko nahi byahnewali, sagi mausi hu koi sauteli maa nahi…..
Jai : Ajib baat hai. mere itane samajhane par bhi aap ne inkar kar diya, bechara viru,na jane kya karega ab?