Ajay Devgan Dialogues in Singham

Bahut kursi kursi karta hai na tu …

is baar tujhe aisi jagah marenge …

ki jitni baar kursi pe behtega hum mein yaad karega

Joh kanoon todega, main uski hadiyaan todonga

Meri zarooratein kam hai …

is liye mere zameer mein dum hai

Galat kya hai yeh jaanane se koi farak nahin parta …

galat ko sahi karne se farak parta hai

Police waalon ki na dosti achchi na dushmani …

tune toh dono hi kar li

Jisme hai dum!  to fakht Bajirao Singham

Kuttoon ka jhund kitna bhi bada ho …

uske liye ek sher hi kaafi hota hai

Ajay Devgan Dialogues in Himmatwala

Badkismati toh hamari behen, bahu, betiyon ki hai …

is desh mein janam lene se pehle kok mein jaan ka khatra …

aur janam lene ke baad izzat ka … magar aaj ke baad aaisa nahi hone waala …

kyun ki jab jab kisi aurat par zulm hoga …tab tab har insaan banega himmatwaala

Gareeb ke paas sirf do hi cheezein hoti hai …sar par izzat ki pagdi aur pairon mein mehnat ki chappal …

aur jab sar ki pagdi uchalti hai toh pairon ki chappal haath mein aa jaati hai

Jaise ek roti ki ahmiyat ek bhookha jaanta hai …

zindagi ki ahmiyat ek marne waala jaanta hai …

vaise hi maa ki ahmiyat sirf ek anaath hi jaan sakta hai

Izzat aur jaan do aaisi cheezein hai …

joh ek baar chali gayi toh vapas nahi aati

Sare kagazat mujhe chahiye do din mein …

kyun ki teesra tum logon ka chautha hoga

Kasam hai mujhe apni maa aur apni behen ki …

teri zindagi ki maa behen kar doonga

Maa Sherawali ka haath hai mujhpar …

chahe saikadon dushman aa jaye zameen par …

ek ek ko zinda ghaad dega yeh himmatwala … yahinpar

Na main Dilli waala, na main CBI waala …

ek behen ka bhai, ek maa ka beta … himmatwala!

Ajay Devgan Dialogues in Company

Har insaan ke andhar ek rakshash hota hai …

bas kuch log usse bahar nikaalne se darte nahi

Joh hamare usool todhta hai …

hum usse todh dete hain

Pachees baar keh chuka hoon ki …

dhande ki baat phone pe nahi

Khaas aadmiyo ko yeh bhi yaad dilana chahiye …

ke woh kabhi bhi aam ho sakte hai

Yahan koi bhi jab chahe bharti ho sakta hai …

magar istifa nahin de sakta

Duniya mein har kaam fayde ke liye kiya jata hai

Jiski nazar game se hati …

samjho woh game se hat gaya

Hamare dhande mein ek galati ko maaf karna …

usse bhi badi galati hai

Ajay Devgan Dialogues in The Legend of Bhagat Singh

Shareer qaid kiya jaa sakta hai … vichaar nahi

Khoon bahana koi badi baat nahi hai …

chahe woh apna ho yah samne waale ka …

badi baat toh yeh hai ki jism se tapka hua ek boond khoon,

aane waali nasal ke saare ke saare khoon mein ubaala la sakta hai yah nahi

Dushman aadmi ko maar sakta hai …uske adharshon ko nahi

Nah toh mujhe maut ka khauf hai … aur nah hi rab ka yakeen

Aap namak ka haq ada karo … main mitti ka haq ada karta hoon

Ajay Devgan Dialogues in Kaal

Joh dikhta hai woh hota nahi …

aur joh nahi dikhta usse hum maante nahi

Jungle mein jaanwar ka shikaar ho toh insaan ko pata bhi nahi chalta …

lekin insaan ka ho toh jaanwaro ko bhi khabar ho jaati hai

Jis raaste par sher ke panje ho …

us par koi chalne ki himmat nahi karta

Kuch log shikaar karne aate hai … khud shikaar ban jaate hai

Ajay Devgan Dialogues in Ishq

Ab toh is zindagi mein wohi aayegi …

yah phir is aashiq ki jaan jayegi

Yeh phool nahi mere dil ka lahu hai …

aur Daddy yeh dushman nahi, tumhari hone waali bahu hai

Toofan mein bahaa hai na yeh sholon mein jala hai …

ghayal hua teeron se na khanjar se kata hai …

kehte hai jisse ishq qayamat hai, bala hai …

takraya joh bhi isse woh duniya se mitta hai

Ajay Devgan Dialogues in Bol bachchan

Na pine hai na apple … phir bhi pineapple

Prithviraj Raghuvanshi satya ko Ram Ram kare hai …

par jhoote ka Ram naam satya kare hai

When elder get cosy … younger don’t put nosy

Tujhe paakar meri chaati aur bhi chowdi ho gayi hai …

my chest has become blouse

Brother-in-law will die Tommy’s death

Rishto ke fayde nahi … rishto ke mainne dekhte hai hum

Lagta hai tumhare kaan bajh rahe hai …

your eardrums are playing drums

Aainda aaisi harkat ki …

toh deshwasi se narakwasi bana denge tane

Hum chatti ka dhood yaad dila denge …

I will make him remember milk number 6

Early to double bed and early to wake up fast …

makes a male mard hatta katta and oversmart

Eat lots and lots of akharot, tighten your langot …

and fight with bear hands, no knives no forks

Shikaar ki khoj mein …sher bedh bakriyo ki fauj hi dhoondta hai