Dangal is the Bollywood’s sports drama film starring Aamir Khan in the lead role, story of Dangal is based on the life of former wrestler Mahavir Singh Phogat and his daughters Geeta and Babita Kumari Phogat.

Dangal is a motivational Hindi film with many great dialogues, recently crossed the new milestone of 1000 Crores worldwide, which is the highest by any Bollywood film till now.

Dangal Dialogues are motivational and some are funny too, You can check the list of Dangal 2016 film Dialogues below.

Also Read: Facts about Dangal and Real Mahavir Singh Phogat

Dialogues of Mahavir Phogat (Aamir Khan)

Dangal Dialogues Bollywood Movie

Re dil chhota mat kar, national level champion se haara hai tu…

Pehelwani me shohrat kamai, ijjat kamai bas paise nahi kama paya.. Naukari karli..

Jo Main karna chahta tha wo mhaara beta karke dikhawega, desh ke liye gold jittega mhara beta..

Galat mat samajh, gita aur babita dono hi pyari hai manne par mera jo sapna hai wo chhora hi pura kar sake hai..

Main hamesha yo soch ke rotta reya ki chhora hota to desh ke liye khushti me gold lata, yo baat mere samajh me na aayi,
ki gold to gold hota hai, chhora laave ya chhori..

Mhari choriya chhoro se kam hai kay…

Bas ek saal dede mujhe, Ek saal tak apne kaleje pe pathar rakh le
agar main galat sabit ho gaya to main zindagi bhar apne kaleje pe pathar rakh lunga..

Apni maati ki hamesha ijjat karna, kyuki jitni ijjat tum maati ki karogi utni ijjat tumhe maati se milegi…

ye khushti hai 3 sorry me khel khatam ho jata hai…

medals ped pe nahi ugte, unhe banana padta hai, pyar se mehnat se lagan se..

Geeta ka natural game attacking hai, aapne technique ke chakkar me fasa ke uska game hi ulta kar diya, yo to wahi baat ho gayi ki sehwag ko bola jaye ki tu dravid ki tariya khel, na sehwag reh jave ga na dravid ban paavega…

Agar silver jeeti, to aaj nahi to kal log tanne bhul javenge, aur gold jeeti to misaal ban javegi, aur misaale di jaati hai, bhuli nahi jaati…

Dialogues of Geeta and Babita

bohot ho gayi pehelwani Ab dangal hoga Dangal memes dialogues

Omkar : Tum dono ke chakkar me meri class lag gayi..

Geeta : Teri to class lagi hai humara to syllabus hi badal gaya…

Bohot ho gayi pehelwani, ab dangal hoga…

Babita : Unke tarike Kamjor na hai didi, bas aadmi thoda kamjor ho gaya hai..

Geeta : Tujhe bhi lagta hai ki main international medal ke liye na bani hoon?

Babita : Wo main nahi janti didi, main bas itna janti hun, aap wo chhori ho jisne dangal me chhoro ne patka hai, aap wo chhori ho jisne underweight hokar bhi sub junior jeeti, aapne national me 3 saal tak sbko dhool chatayi hai, agar aap international ke liye na bani ho to manne na pata India me kon chhori International ke liye bani hai…

Dialogues of Omkar (Aparshakti Khurana)

Dangal dialogues of omkar aparshakti khurana

Har pehelwan akhade me ye soch ke utarta hai ki desh ke liye kuch karega, par desh hi pehelwan ke liye kuch na kare to pehelwan kya karega..

Kehte hai Dubne wale ko tinke ka sahara kaafi hota hai, aur yaha to tau ji ko do do life guard mil gaye the..

Geeta ke aage bade bade chhoro ne ghutne tek diye the, ye chhoriya kab tak tik paati..

Others

Ha bolne ka to jee na hai bhai sahab, aur na bolne ki himmat…

Bas muh chalane se Kushti jeeti jaati na bhai sahab, to aap to kab ke jeet chuke hote..

Kabhi akhade me utar ke dekh langot se pehle hawa tight ho javegi..

Your Turn!

Share, your favorite dialogue from the Film, and you can also comment any missing dialogue below.